Monday 2 January 2012

WO COLLEGE KEY DIN BAHUT YAAD ATEY HAIN....

WO COLLEGE KEY DIN BAHUT YAAD
ATEY HAIN AUR ALMOST ISSEY
PADNEY KEY BAAD SABKO YAAD
AYENGAYE
1. On being Late:
“Kab shuru hua?”
“Attendance ho gayi kya??”
“Kal raat der tak gappe marte
rahe yaar”
“Mein kya karu, wo bathroom
mein ghusa hua tha”
“Aab nind nahi khuli to mein kya
karu…….. . bolna …….. kal kya
padaya tha sir ne”
“Kal se pakka class karunga”
“Ek page de na………. abe pen bhi
to de…….”
“Yaar iss class ke liye koi subah
kaise aa sakta hai……..”
2. During the lecture:
“Yesss !!!! Sir…….The answer is
…….huuuummmmm. ……aaaaaaaa.
……… ..”
“No sir…..I know the answer
…….sir.. ..”
“Saala apne aapko Newton
samajta hai”
“Abe lecture ko chod….. dekh wo
kya lag rahi hai aaj……..”
“Uske bagal mein nahi baith sakta
tha…….gadha. ……”
“Kya bore ho raha hai. Bola tha
movie dekhne chalte hain ”
“Heads, we go Movie , Tails, we go
Movie now!!!”
“class khatam hote hi Soft drink
chahiye….. .”
3. Lab
“Expt. 2 Kiya kya??”
“Isme Karna kya hai??”
“Yeh bhai…..mereko aata to tere
pass kyon aata…….. ”
“Are tu to bura maan gaya…….
dikha na………”
4. Tests
“Tests???? …..Aree yaar…… ”
“Kya…… abe Test mein itna topic
hai to annual mein kya hoga….”
“Boss….. hogaya…… aur nahi ho
sakta……. .jaan nahi de sakta……. ”
“Oh !!! Itna syllabus cover ho
gaya ?”
“Aaj kounsa test hai?”
“Oye Mera dost kaha hai……uska
roll number mere baad hai…….wo
nahi aaya to mein pakka fail….”
After test……
“yaar pada tha….recall nahi kar
paya…….chhod na ……. Canteen
chalega…”
5. For attendance (less attendance
isliye attendance badane ke liye
bahane)
“I was in the class, lecturer mark
karna bhool gaya ”
“Oye usko thoda khus kar list se
tera naam hata dega…….. ”
“Bola tha proxy regularly maar…….
Saale teri class karne ka kya faida
hua…..”
6. Late submission of Projects
“Maine usko bola thaa ki copy
karke mera assignment bhi saath
mein submit kar dena”
“Last date extend hui thi”
“I didn’t know the last date”
“Ab mein kya karu usne mereko
bole bina hi submit kar diya…….”
“They should allow XEROX……. .”
7 . After exam
“Yeh bhi syllabus mein thaa kya?”
“Achha !!! ye aise hota hai kya?”
“Ye Kaunsi book me tha”
“1st mein 3 marks…..2nd mein
0…….3rd mein 2…….Gaya. ……… fail
pakka……. ”
“Yaar notice lagte hi faad
dena…….. wo kya soochegi mera
marks dekh kar……”
8 VIVA (b4 exam)
“Submission ab tak hua nahi hai ,
VIVA kya ghanta doonga”
“Aeee……Rohit. ….terese kya
poocha…… .”
“External ke ghar mein bacche
nahi hai kya…….”
“Dekh Boss!! external bhi aadmi
hai. Usko pata hai students ki ab
tak preparation nahi hui hai”
9 . VIVA (General)
“Dekh , tu jo bhi padhega , woh
(external) tereko woh nahi
poochhnewaala, then watz the
point”
“Roll no. 1 aur 2 ki watt laga di
hai”
“External is asking Bermuda
Triangle ka Magnetic force kitna
hai”
“Ye kounse unit mein aata hai”
10 . Submission
“Ye bhi chhapna hai kya?”
“Iska bhi print-out lena hai kya?”
“Jai ho computer baba ki……jai ho
Ctrl C – Ctrl V ki…….”
“Tujhe Sir ka sign aata hai kya?”
“Ye tune kya likha hai????”
(The best one)
“Jo word samajh mein aa raha hai
woh likh, jo nahi samajh mein aa
raha hai uski drawing nikal”
“Phir bhi, kuch to idea hoga??”
” Maine uska likha hai, mera
assignment check ho gaya , tu bhi
wohi kar.”
“Koi hint…….. ”
“Are baba ghasit de……..na tu
samjega na wo……..”
12. Exam
“Jo (mujhe) aata hai, woh (paper
mein)aata nahi hai; jo nahi aata
hai who aata hai”
“ye question 2 saal se nahi
poochha hai”
“ye last time hi poochha thaa”
“tere paas is ke notes hai??”
“woh chapter… mark weightage 6
marks… (facial ex-pressions
speaks the story)”
“nahi samjha to rat le”
“External ke aane ke pura scene
hai……. ”
“Iss paper mein roll number ka
kya order hai……..”
“Pichle paper mein to kuch to aata
tha…….issmein to anda aata
hai……”
“Ek aur din ka gap de dete to kya
3rd World War ho jata tha
kya……..”
…….. bas ek bar wapas lautne ka
man karta hai ………
…….. Aaj har wo baat yaad aati
hai…….
…….. kuch buri batein jo ab acchi
lagti hain ……..
…….. kuch batein jo kal ki hi batein
lagti hain ……..
…….. abki baar class attend karne
ka man karta hai ……..
…….. Dopahar ki class mein aakhen
band karne ka man karta hai……
…….. hostel ke chat ki wo raat
yaad aati hai ……..
…….. exam ke time pe wo hasi
mazak bahut pyari lagti hai ……..
…….. tab ki bekar lagne wali
photo’s chehre pe hasi laati hai
…….
…….. Apni galtiyon pe tumse daat
khana yaad aata hai. ……..
…….. Par tumhari galti dekhne ka
man karta hai……..
…….. Aaj tum bahut yaad aate
ho…….
……..fir waise hi subah uthne ka
man karta hai……..
……..bas ek bar wapas lautne ka
man karta hai……..
……..bas ek bar aur …….
……..wapas lautne ka man karta
hai:) 

No comments:

Post a Comment